Sunday 13 December 2009, Hindu Calendar, Panchang
Shri Vikrami samvat 2066, aur Shak samvat 1931
Paush maas
Krishna paksha
Dwadashi tithi upto 14:36, then Tryodashi
Ravi vaar (Sunday)
Swati nakshatra upto 11:49, then Vishakha
Moon in Tula rashi
Pradosh vrat hai, aur Maha paat hai 27:30 se
Yeh saptah shuru ho raha hai ravivaar ko is graha stithi se –Ketu hain Mithun rashi mein, Mangal hain Karka rashi mein, Shani hain Kanya rashi mein, Chandrama chal rahe hain Tula rashi mein, Shukra aur Surya hain Vrishchik rashi mein, Budh aur Rahu chal rahe hain Dhanu rashi mein, aur Brihaspati chal rahe hain Makar rashi mein
Is saptah mein grahon ka gochar kuch is tarah se hai – Surya pravesh kareinge Dhanu rashi mein 15 Dec ki raat ko, Jabki sankranti ka punya kaal agle din manaya jayega, Brihaspati pravesh kareinge Kumbh rashi mein 19 Dec ko, Chandrama Dhanu rashi mein pravesh kareinge 16 Dec ko, aur Chandrama Makar rashi mein pravesh kareinge 18 Dec ko
Is saptah mein padne wale vrat parva aur tyohar hain – 16 Dec ko amavasya hai, aur sankranti ka punya kaal manaya jayega subah 12:16 tak, aur 19 Dec ko Hijri san 1431 ka prarambh ho raha hai
No comments:
Post a Comment
Please do not post any message with links. It will not be approved.