Consult Jyotishguru Deepak Kapoor

Personal appointments

with

Jyotishguru Deepak Kapoor

at Gurgaon

Call 9868463900

Saturday, January 9, 2010

Sunday 10 January 2010, Hindu Calendar, Panchang

Shri Vikrami samvat 2066, Shak samvat 1931
Magh maas
Krishna paksha
Ekadashi tithi
Ravi vaar (Sunday)
Vishakha nakshatra upto 18:33, then Anuradha
Moon in Tula rashi, enters Vrishchik rashi at 12:12
Budh vakri disha mein Mula nakshatra mein pravesh kareinge 10 ki raat aur 11 ki subah 3:05 pe, Surya pravesh kareinge Uttara ashadha nakshatra mein 10 ki raat aur 11 ki subah 6:07 pe, Shat tila ekadashi vrat hai smart vaishnavon ka, aur Vyatipaat mahapaat hai 7:17 tak


Yeh saptah shuru ho raha hai ravivaar ko is graha stithi se –Ketu hain Mithun rashi mein, Vakri Mangal hain Karka rashi mein, Shani hain Kanya rashi mein, Chandrama chal rahe hain Tula rashi mein, Vakri Budh Shukra Surya aur Rahu hain Dhanu rashi mein, aur Brihaspati chal rahe hain Kumbh rashi mein


Is saptah mein grahon ka gochar kuch is tarah se hai – Shukra pravesh kareinge Makar rashi mein 13 Jan ko, Shani vakri ho rahe hain 13 January ko, Surya pravesh kareinge Makar rashi mein 14 Jan ko, Budh margi honge 15 Jan ko, Chandrama pravesh kareinge Dhanu rashi mein 12 Jan ko, chandrama Makar rashi mein pravesh kareinge 15 Jan ko, aur Chandrama Kumbh rashi mein pravesh kareinge 17 Jan ko


Is saptah mein padne wale vrat parva aur tyohar hain – 11 Jan ko shat tile ekadashi vrat hai nimbarkon ka, 12 jan ko bhaum pradosh vrat hai aur meru tryodashi hai, 13 Jan ko Lohri ka tyohar hai, 14 Jan ko surya uttarayan ho rahe hain aur sankranti ka punya kaal manaya jayega 12:38 se, 14 Jan ko hi dakshin bharat mein manaya jane vala Pongal ka tyohar hai, aur 14 Jan ko hi Assam mein manaya jane wala Magh bihu ka tyohar hai, 15 jan ko Mauni amavasya hai aur Kankan surya grahan hai,

No comments:

Post a Comment

Please do not post any message with links. It will not be approved.