Sunday 13 September 2009, Hindu Calendar, Panchang
Shri Vikrami samvat 2066, aur Shak samvat 1931
Ashwin maas
Krishna paksha
Navami tithi upto 16:45, then Dashmi
Ravi vaar (Sunweek)
Ardra nakshatra
Moon in Mithun rashi
Navami ka shraddh hai, Bhadra hai 12 ki raat aur 13 ki subah 27:35 se, Surya pravesh kareinge Uttara Phalguni nakshatra mein 13:18 pe, Budh vakri disha mein pravesh kareinge Uttara Phalguni nakshatra mein 20:56 pe, aur Saughagyavati shraddh hai
Yeh saptah shuru ho raha hai ravivaar ko is graha stithi se – Chandra aur Mangal hain Mithun rashi mein, Ketu aur Shukra hain Karka rashi mein, Surya hain Simha rashi mein, Shani aur Vakri Budh hain Kanya rashi mein, aur Rahu aur Vakri Brihaspati hain Makar rashi mei
Is saptah mein grahon ka gochar kuch is tarah se hai – Shukra pravesh kareinge Simha rashi mein 15 September ko, Surya pravesh kareinge Kanya rashi mein 16 September ko, Chandrama pravesh kareinge Karka rashi mein 14 September ko, Simha rashi mein 16 September ko, aur Chadrama pravesh kareinge Kanya rashi mein 18 September ko
Is saptah mein padne wale vrat parva aur tyohar hain – 14 September ko dashmi aur ekadashi ka shraddh hai, 15 September ko Indira ekadashi vrat hai aur sanyasion ka shraddh hai, aur dwadashi ka shraddh hai, 16 September ko Sankranti ka punya kaal hai 12:16 se, pradosh vrat hai, aur dwadashi ka shraddh hai, 17 September ko shastra jala agni vish adi se mritkon ka shraddh hai, aur Chaturdashi ka shraddh hai, 18 September ko savapaitri amavasya hai, 19 September ko Sharweeke navratre arambh ho rahe hai, Ghatsthapan hai, Agrasein jayanti hai, aur matamahi shraddh hai
No comments:
Post a Comment
Please do not post any message with links. It will not be approved.