Sunday 27 September 2009, Vedic Astrology Forecasts, Rashi Phal
Shri Vikrami samvat 2066, aur Shak samvat 1931
Ashwin maas
Shukla paksha
Navami tithi
Ravi vaar (Sunday)
Purva Ashadha nakshatra upto 21:36, then Uttara Ashadha
Moon in Dhanu rashi
Maha navami hai, Gajashv navami hai, Budh purva mein udaya honge 17:40 pe, Sarasvati pujan hai, aur navratre samapt ho rahe hain
Yeh saptah shuru ho raha hai ravivaar ko is graha stithi se – Mangal hain Mithun rashi mein, Ketu hain Karka rashi mein, Shukra aur Vakri Budh hain Simha rashi mein, Shani aur Surya hain Kanya rashi mein, Chandra chal rahe hain Dhanu rashi mein, aur Rahu aur Vakri Brihaspati hain Makar rashi mei
Is saptah mein grahon ka gochar kuch is tarah se hai – Budh margi honge 29 Sep ko, aur Budh pravesh kareinge Kanya rashi mein 4 Sep ki raat, Chandrama pravesh kareinge Kumbh rashi mein 30 Sep ko, aur Meena rashi mein 2 Oct ko
Is saptah mein padne wale vrat parva aur tyohar hain – 28 Sep ko Vijay dashmi hai aur dashehra hai, , shri madhav charya jayanti hai, Sarasvati preetyarth balidaan divas hai, aur Ayudh puja hai, 29 Sep ko Sarasvati visarjan hai aur Bharat milap hai, 30 Sep ko Papan kusha ekadashi vrat hai, , 1 Oct ko pradosh vrat hai, 2 Oct ko Mahatma Gandhi Jayanti hai, aur 3 Oct ko Sharad purnima hai
No comments:
Post a Comment
Please do not post any message with links. It will not be approved.