Sunday 20 September 2009, Vedic Astrology Forecasts, Rashi Phal
Shri Vikrami samvat 2066, aur Shak samvat 1931
Ashwin maas
Shukla paksha
Dwitiya tithi upto 19:57, then Tritiya
Ravi vaar (Sunday)
Hasta nakshatra upto 12:17, then Chitra
Moon in Kanya rashi, enters Tula rashi at 23:50
Yeh saptah shuru ho raha hai ravivaar ko is graha stithi se – Mangal hain Mithun rashi mein, Ketu hain Karka rashi mein, Shukra hain Simha rashi mein, Shani Surya Vakri Budh aur Chandra hain Kanya rashi mein, aur Rahu aur Vakri Brihaspati hain Makar rashi mei
Is saptah mein grahon ka gochar kuch is tarah se hai – Budh vakri disha mein Simha rashi pravesh kareinge 24 September ko, Chandrama pravesh kareinge Tula rashi mein 21 September ko, Vrishchik rashi mein 22 September ko, aur Chadrama pravesh kareinge Dhanu rashi mein 25 September ko
Is saptah mein padne wale vrat parva aur tyohar hain – 21 September ko Id-ul-fitr hai, 22 September ko Vinayak chaturthi vrat hai, 23 September ko Upanglalita vrat panchami hai, aur Jain samprdaya ki Gyan panchami hai, 24 September ko Kaalratri saptami hai, aur 26 September ko Shri Durga mahaashtami hai, Satraswati ahwahan hai, aur Jain samprdaya ke ayambil oli prarambh ho rahe hain
No comments:
Post a Comment
Please do not post any message with links. It will not be approved.