Sunday 15 November 2009, Hindu Calendar, Panchang
Shri Vikrami samvat 2066, aur Shak samvat 1931
Margasheersh maas
Krishna paksha
Chaturdashi tithi
Ravi vaar (Sunday)
Swati nakshatra
Moon in Tula rashi
Bhadra hai 13:01 tak,
Yeh saptah shuru ho raha hai ravivaar ko is graha stithi se – Ketu hain Mithun rashi mein, Mangal hain Karka rashi mein, Shani hain Kanya rashi mein, Chandra Shukra aur Surya hain Tula rashi mein, Budh hain Vrishchik rashi mein, Rahu chal rahe hain Dhanu rashi mein, aur Brihaspati chal rahe hain Makar rashi mein
Is saptah mein grahon ka gochar kuch is tarah se hai – Surya pravesh kareinge Vrishchik rashi mein 16 Nov ko, Chandra bhi pravesh kareinge Vrishchik rashi mein 16 Nov ko hi, Chandra Dhanu rashi mein pravesh kareinge 19 Nov ko, aur Makar rashi mein 21 Nov ko
Is saptah mein padne wale vrat parva aur tyohar hain – 16 Nov ko surya ka pravesh ho raha hai Vrishchik rashi mein atah sankranti ka punya kaal hai suryaodaya se, 16 Nov ko hi somvati amavasya hai, 20 Nov ko Vinayak chaturthi vrat hai, aur 21 Nov ko naag panchami hai,
No comments:
Post a Comment
Please do not post any message with links. It will not be approved.