Sunday 12 September 2010, Hindu Calendar, Panchang
Shri Vikrami Samvat 2067, Shak samvat 1932
Bhadrapad maas
Shukla paksha
Panchami tithi upto 24:35, then Shashti
Ravi vaar (Sunday)
Swati nakshatra upto 14:25, then Vishakha
Moon in Tula rashi
Rishi panchami hai, aur Budh margi honge 12 ki raat aur 13 ki subah 4:39 pe
Yeh saptah shuru ho raha hai ravivaar ko is graha stithi se – Ketu hain Mithun rashi mein, Vakri Budh aur Surya chal rahe hain Simha rashi mein, Shani hain Kanya rashi mein, Mangal Shukra aur Chandrama hain Tula rashi mein, Rahu hain Dhanu rashi mein, aur Vakri Brihaspati chal rahe hain Meena rashi mein
Is saptah mein grahon ka gochar kuch is tarah se hai – Surya pravesh kareinge Kanya rashimein 16 Sep ko, Chandrama pravesh kareinge Vrishchik rashi mein 13 September ko, Chandrama Dhanu rashi mein pravesh kareinge 15 September ko, aur Chandrama pravesh kareinge Makar rashi mein 17 September ko
Is saptah mein padne wale vrat parva aur tyohar hain – 13 Sep ko surya shashti hai, 15 Sep ko Shri Mahalakshami vrat arambh ho rahe hain, aur shri Radha ashtami hai, 16 Sep ko a:dukh navami hai aur Shrichand navami hai, aur 18 Sep ko Padma ekadashi vrat hai smart vaishnavon ka aur Phooldol mahotsav hai
No comments:
Post a Comment
Please do not post any message with links. It will not be approved.