Consult Jyotishguru Deepak Kapoor

Personal appointments

with

Jyotishguru Deepak Kapoor

at Gurgaon

Call 9868463900

Saturday, September 4, 2010

Sunday 5 September 2010, Hindu Calendar, Panchang

Shri Vikrami Samvat 2067, Shak samvat 1932
Bhadrapad maas
Krishna paksha
Dwadashi tithi
Ravi vaar (Sunday)
Punarvasu nakshatra upto 10:52, then Pushya
Moon in Karka rashi
Jaya ekadashi vrat hai Vaishnavon ka, aur mangal pravesh karenge Tula rashi mein 5 ki raat aur 6 ki subah 3:04 pe, aaj shikshak divas hai, teachers day, teachers day duniya bhar mein kisi na kisi din manaya jata hai, Bharat mein yeh hamare doosre rashtrapati Sarvapalli Radhakirshnana ke janma divas par manaya jata hai, Aaiye ham sab mil ke apne shikshakon aur guruon ko yad karein, unka abhinandan karein, ki unki vajah se hamen jeevan mein shiksha mili, gyan mila aur vo sab kuch hasil kiya jis ke ham kabil na they


Yeh saptah shuru ho raha hai ravivaar ko is graha stithi se – Ketu hain Mithun rashi mein, Chandrama hain Karka rashi mein, Surya aur vakri Budh chal rahe hain Simha rashi mein, Shani aur mangal hain Kanya rashi mein, Shukra hain Tula rashi mein, Rahu hain Dhanu rashi mein, aur Vakri Brihaspati chal rahe hain Meena rashi mein


Is saptah mein grahon ka gochar kuch is tarah se hai – Chandrama pravesh kareinge Simha rashi mein 6 September ko, Chandrama Kanya rashi mein pravesh kareinge 8 September ko, aur Chandrama pravesh kareinge Tula rashi mein 10 September ko


Is saptah mein padne wale vrat parva aur tyohar hain – 6 September ko Som pradosh vrat hai, Kailash yatra prarambh ho rahi hai, aur Aghora Dakini chaturdashi hai, 8 September ko Kushgrahini amavasya hai, Swami Sivananda Jayanti hai, Pithori amavasya hai, 10 Sep ko Haritalika teej hai aur Varaha Jayanti hai, 11 Sep ki Vinayak chaturthi vrat hai aur Shri Ganesh Janmotsav hai,

No comments:

Post a Comment

Please do not post any message with links. It will not be approved.