Sunday 21 March 2010, Hindu Calendar, Panchang
Shri Vikrami Samvat 2067, Shak samvat 1932
Chaitra maas
Shukla paksha
Panchami tithi upto 6:32, then Shashti
Ravi vaar (Sunday)
Krittika nakshatra upto 13:16, then Rohini nakshatra
Moon in Vrishabh rashi
Brihaspati Purva mein uday honge 7:50 pe, aur Skandh shashti hai
Yeh saptah shuru ho raha hai ravivaar ko is graha stithi se – Chandrama hain Vrishabh rashi mein, Ketu hain Mithun rashi mein, Mangal hain Karka rashi mein, Vakri Shani hain Kanya rashi mein, Rahu hain Dhanu rashi mein, Brihaspati chal rahe hain Kumbh rashi mein, aur Surya Budh aur Shukra hain Meena rashi mein
Is saptah mein grahon ka gochar kuch is tarah se hai – Chandra pravesh kareinge Mithun rashi mein 22 March ko, Chandrama pravesh kareinge Karka rashi mein 24 March ko, aur Chandrama pravesh kareinge Simha rashi mein 27 March ko
Is saptah mein padne wale vrat parva aur tyohar hain – 22 March ko Kaal ratri saptami hai, aur Jain sampradaya ki Ayambil oli ka prarambh ho raha hai, 23 March ko Shri Durga Ashtami hai aur Ashokastami hai, 24 March ko Punarvasu nakshatra yut Ram navami hai, Shri Tara Jayanti hai, aur Acharya Bhikshu Abhinishkraman hai, 25 March ko navratra parna hai, 26 March ko Kamda ekadashi hai, aur 27 March ko Shani pradosh vrat hai aur Shri Vishnu Damanotsav hai
No comments:
Post a Comment
Please do not post any message with links. It will not be approved.