Sunday 28 March 2010, Hindu Calendar, Panchang
Shri Vikrami Samvat 2067, Shak samvat 1932
Chaitra maas
Shukla paksha
Tryodashi tithi upto 14:21, then Chaturdashi
Ravi vaar (Sunday)
Purva Phalguni nakshatra
Moon in Simha rashi
Vyatipaat maha paat hai 11:02 se14:45 tak, Ashok Tryodashi hai, Shri Mahavir Jayanti hai, aur Anang Tryodashi hai, Bhagwan Shiv ko samarpit anang tryodashi ka vrat kiya jata hai, yeh vrat achi sehat ko prapt karne ke liye aur sukh samriddhi ke liya kiya jata hai, is ka vistrit varnan hai Garuda puran mein hai
Yeh saptah shuru ho raha hai ravivaar ko is graha stithi se – Shukra hain Mesha rashi mein, Ketu hain Mithun rashi mein, Mangal hain Karka rashi mein, Chandrama hain Simha rashi mein, Vakri Shani hain Kanya rashi mein, Rahu hain Dhanu rashi mein, Brihaspati chal rahe hain Kumbh rashi mein, aur Surya aur Budh hain Meena rashi mein
Is saptah mein grahon ka gochar kuch is tarah se hai – Budh pravesh kareinge Mesha rashimein 29 March ko, Chandra pravesh kareinge Kanya rashi mein 29 March ko, Chandrama pravesh kareinge Tula rashi mein 31 March ko, aur Chandrama pravesh kareinge Vrishchik rashi mein 2 April ko
Is saptah mein padne wale vrat parva aur tyohar hain – 29 March ko Shiva Damanotsav hai, 30 March ko Dakshin Bharat mein manai jane wali Hanuman Jayanti hai, Vaishakh snan prarambh ho rahe hain ayambil oli samapt ho rehe hain, Sidhanchal yatra hai, aur Rajasthan ka Eklingji Mahotsav hai, aur 2 April ko Shri Ganesh Chaturthi hai
No comments:
Post a Comment
Please do not post any message with links. It will not be approved.