Sunday 11 April 2010, Hindu Calendar, Panchang
Shri Vikrami Samvat 2067, Shak samvat 1932
Vaishakh maas
Krishna paksha
Dwadashi tithi upto 14:07, then Tryodashi
Ravi vaar (Sunday)
Shatbhisha nakshatra upto 11:25, then Purva Bhadrapad
Moon in Kumbh rashi
Pradosh vrat hai
Yeh saptah shuru ho raha hai ravivaar ko is graha stithi se – Budh aur Shukra hain Mesha rashi mein, Ketu hain Mithun rashi mein, Mangal hain Karka rashi mein, Vakri Shani hain Kanya rashi mein, Rahu hain Dhanu rashi mein, Chandrama aur Brihaspati chal rahe hain Kumbh rashi mein, aur Surya hain Meena rashi mein
Is saptah mein grahon ka gochar kuch is tarah se hai – Surya pravesh kareinge Mesha rashi mein 14 April ko, aur sankranti ka punya kaap hoga 14 April ko dopahar 13:21 tak, Chandra pravesh kareinge Meena rashi mein 12 April ko, Mesha rashi mein 14 April ko, aur Chandrama pravesh kareinge Vrishabh rashi mein 16 April ko
Is saptah mein padne wale vrat parva aur tyohar hain – 14 April ko Kumbh ka mukhya snan hai, Ambedkar Jayanti hai, aur Punjab mein manaya jane wala Baisakhi ka tyohar hai, aur 15 April ko Baishakh ka adhik maas prarambh ho raha hai, Jis chandra maas mein surya ki sankranti na pade, us maas ko adhik maas ke roop mein mana jata hai, atah aise varsh mein 12 chandra maas ke badle 13 chandra maas hote hain.
No comments:
Post a Comment
Please do not post any message with links. It will not be approved.