Sunday 18 April 2010, Hindu Calendar, Panchang
Shri Vikrami Samvat 2067, Shak samvat 1932
Vaishakh adhik maas
Shukla paksha
Chaturthi tithi upto 16:56, then Panchami
Ravi vaar (Sunday)
Rohini nakshatra upto 18:44, then Mrigshira
Moon in Vrishabh rashi
Bhadra hai 16:56 tak, Budh vakri honge 9:36 se, aur Vinayak chaturthi hai
Yeh saptah shuru ho raha hai ravivaar ko is graha stithi se – Surya Budh aur Shukra hain Mesha rashi mein, Chandrama chal rahe hain Vrishabh rashi mein, Ketu hain Mithun rashi mein, Mangal hain Karka rashi mein, Vakri Shani hain Kanya rashi mein, Rahu hain Dhanu rashi mein, aur Brihaspati chal rahe hain Kumbh rashi mein
Is saptah mein grahon ka gochar kuch is tarah se hai – Shukra pravesh kareinge Vrishabh rashimein 20 April ko, Surya Sayan Vrishabh mein pravesh kareinge 20 April ko atah Greesham ritu ka arambh ho raha hai, Chandra pravesh kareinge Mithun rashi mein 19 April ko, Karka rashi mein 21 April ko, aur Chandrama pravesh kareinge Simha rashi mein 23 April ko
Is saptah mein padne wale vrat parva aur tyohar hain – 24 April ko kamla ekadashi vrat hai smarton ka, aur 25 April ko ekadashi ka vrat hoga Vaishnavon ka
No comments:
Post a Comment
Please do not post any message with links. It will not be approved.