Sunday 25 April 2010, Hindu Calendar, Panchang
Shri Vikrami Samvat 2067, Shak samvat 1932
Vaishakh adhik maas
Shukla paksha
Dwadashi tithi upto 24:54, then Tryodashi
Ravi vaar (Sunday)
Purva Phalguni nakshatra upto 10:17, then Uttara Phalguni
Moon in Simha rashi, enters Kanya rashi at 15:49
Kamla ekadashi vrat hai Vaishnavon ka
Yeh saptah shuru ho raha hai ravivaar ko is graha stithi se – Surya aur vakri Budh hain Mesha rashi mein, Shukra hain Vrishabh rashi mein, Ketu hain Mithun rashi mein, Mangal hain Karka rashi mein, Chandrama chal rahe hain Simha rashi mein, Vakri Shani hain Kanya rashi mein, Rahu hain Dhanu rashi mein, aur Brihaspati chal rahe hain Kumbh rashi mein
Is saptah mein grahon ka gochar kuch is tarah se hai – Brihaspati pravesh kareinge Meena rashi mein 2 May ko, Chandrama pravesh kareinge Tula rashi mein 27 April ko, Chandra Vrishchik rashi mein pravesh kareinge 29 April ko, aur Chandrama pravesh kareinge Dhanu rashi mein 1 May ko
Is saptah mein padne wale vrat parva aur tyohar hain – 26 April ko Som Pradosh vrat hai, aur 1 May ko Shri Ganesh chaturthi hai
No comments:
Post a Comment
Please do not post any message with links. It will not be approved.