Sunday 22 August 2010, Hindu Calendar, Panchang
Shri Vikrami Samvat 2067, Shak samvat 1932
Shrawan maas
Shukla paksha
Tryodashi tithi upto 17:47, then Chaturdashi
Ravi vaar (Sunday)
Uttara Ashadha nakshatra upto 15:10, then Shrawan
Moon in Makar rashi
Yeh saptah shuru ho raha hai ravivaar ko is graha stithi se –Ketu hain Mithun rashi mein, Surya aur vakri Budh chal rahe hain Simha rashi mein, Shani mangal aur Shukra hain Kanya rashi mein, Rahu hain Dhanu rashi mein, Chandrama hain Makar rashi mein aur Vakri Brihaspati chal rahe hain Meena rashi mein
Is saptah mein grahon ka gochar kuch is tarah se hai – Chandrama pravesh kareinge Kumbh rashi mein 24 August ko, Chandrama Meena rashi mein pravesh kareinge 26 August ko, aur Chandrama pravesh kareinge Mesha rashi mein 29 August ko
Is saptah mein padne wale vrat parva aur tyohar hain – 23 August ko Surya Sayan Kanya mein praveshkareinge atah Sharad ritu ka prarambh ho raha hai, 24 August ko Panchak arambh ho rahe hain, Shri Gayatri Jayanti hai, Rishitarpani purnima hai, Sanskrit divas hai, Shukla Krishna yaju upakaram hai, Raksha bandhan ka tyohar hai 9:21 ke baad, aur Hayagreev Jayanti hai, 26 August ko Ashoonya shayan vrat hai, 27 August ko Kajali teej hai, Agastodaya hai, aur 28 August ko Shri Ganesh chaturthi vrat hai aur Bahula chaturthi hai
No comments:
Post a Comment
Please do not post any message with links. It will not be approved.