Consult Jyotishguru Deepak Kapoor

Personal appointments

with

Jyotishguru Deepak Kapoor

at Gurgaon

Call 9868463900

Sunday, August 29, 2010

Sunday 29 August 2010, Hindu Calendar, Panchang

Shri Vikrami Samvat 2067, Shak samvat 1932
Bhadrapad maas
Krishna paksha
Chaturthi tithi upto 7:33, then Panchami
Ravi vaar (Sunday)
Revati nakshatra upto 7:13, then Ashwini
Moon in Meena rashi, enters Mesha rashi at 8:16
Panchak hain 8:16 tak, aur Beejankura panchami hai


Yeh saptah shuru ho raha hai ravivaar ko is graha stithi se –Chandra hain Mesha rashi mein, Ketu hain Mithun rashi mein, Surya aur vakri Budh chal rahe hain Simha rashi mein, Shani mangal aur Shukra hain Kanya rashi mein, Rahu hain Dhanu rashi mein, aur Vakri Brihaspati chal rahe hain Meena rashi mein


Is saptah mein grahon ka gochar kuch is tarah se hai – Shukra pravesh kareinge Tula reshi mein 1 September ko, Mangal pravesh kareinge Tula rashi mein 5 September ko, Chandrama pravesh kareinge Vrishabh rashi mein 31 August ko, Chandrama Mithun rashi mein pravesh kareinge 2 September ko, aur Chandrama pravesh kareinge Karka rashi mein 4 September ko


Is saptah mein padne wale vrat parva aur tyohar hain – 1 Septmber ko Shri Krishna Janmashtami vrat hai smarton ka, Shri Adhyakali jayanti hai, 2 Septmber ko Shri Krishna Janmashtami vrat hai Vaishnavon ka, 4 September ko Jaya ekadashi vrat hai Smarton ka, aur Paryooshan parva prarambhho raha hai

No comments:

Post a Comment

Please do not post any message with links. It will not be approved.