Consult Jyotishguru Deepak Kapoor

Personal appointments

with

Jyotishguru Deepak Kapoor

at Gurgaon

Call 9868463900

Saturday, May 15, 2010

Sunday 16 May 2010, Hindu Calendar, Panchang

Shri Vikrami Samvat 2067, Shak samvat 1932
Shudh Vaishakh maas
Shukla paksha
Tritiya tithi
Ravi vaar (Sunday)
Mrigshira nakshatra upto 24:24, then Ardra
Moon in Vrishabh rashi, enters Mithun rashi at 12:53
Akshaya tritiya hai, Shri parshuram Jayanti hai, Shri Badrikedar yatra prarambh ho rahi hai, aur Shri Matangi jayanti hai


Akshaya tritiya 
Is din ko punya ke liye, ya kisi bhi shubh karya ke liye sab se uttam din mana jata hai, kisi bhi karye ko arambh karne ke liye bhi yeh ek shubh muhurat hai, Dharam shastron ke anusar Treta yug ki shuruat bhi akshay tritiya ko hui thi, Bhagwan Vishnu ke chhadhe avtar bhagwan parshuram ka janma bhi isi din hua tha, is din Bhagwan Vishnu ki puja karni chahiye aur daan punya ityadi avashya karna chahiye - jiska akshaya ya kabhi na kshaya hone wala phal milta hai


Yeh saptah shuru ho raha hai ravivaar ko is graha stithi se –Budh hain Mesha rashi mein, Surya aur Chandra hain Vrishabh rashi mein, Shukra aur Ketu hain Mithun rashi mein, Mangal hain Karka rashi mein, Vakri Shani hain Kanya rashi mein, Rahu hain Dhanu rashi mein, aur Brihaspati chal rahe hain Meena rashi mein


Is saptah mein grahon ka gochar kuch is tarah se hai – Chandrama pravesh kareinge Karka rashi mein 18 May ko, Chandra Simha rashi mein pravesh kareinge 20 May ko, aur Chandrama pravesh kareinge Kanya rashi mein 22 May ko


Is saptah mein padne wale vrat parva aur tyohar hain – 17 May ko Vinayak chaturthi vrat hai, 18 May ko Adhya jagadguru shir shankracharya jayanti hai, 19 May ko Shri Ramanujacharya jayanti hai, 21 May ko Shri Baglamukhi Jayanti hai, aur 22 May ko Shri Seeta Jayanti hai

No comments:

Post a Comment

Please do not post any message with links. It will not be approved.