Sunday 11 July 2010, Hindu Calendar, Panchang
Shri Vikrami Samvat 2067, Shak samvat 1932
Ashadh maas
Krishna paksha
Amavasya upto 25:10, then Ashadh maas shukla paksha Pratipada
Ravi vaar (Sunday)
Ardra nakshatra upto 16:21, then Punarvasu
Moon in Mithun rashi
Yeh saptah shuru ho raha hai ravivaar ko is graha stithi se – Chandra Ketu aur Surya hain Mithun rashi mein, Budh hain karka rashi mein, Shukra aur Mangal chal rahe hain Simha rashi mein, Shani hain Kanya rashi mein, Rahu hain Dhanu rashi mein, aur Brihaspati chal rahe hain Meena rashi mein
Is saptah mein grahon ka gochar kuch is tarah se hai – Surya pravesh kareinge Karka rashi mein 16 July ko, Chandrama pravesh kareinge Karka rashi mein 12 July ko, Chandra Simha rashi mein pravesh kareinge 14 July ko, aur Chandrama pravesh kareinge Kanya rashi mein 16 July ko
Is saptah mein padne wale vrat parva aur tyohar hain – 13 July ko Puri mein manayi jane wali Shri Jagdsh rath yatra hai, Rathotsav dwitiya hai, 15 July ko Vinayak chaturthi hai, 16 July ko Kumar shashthi hai, aur Dwarkadheesh mahotsav hai, aur 17 July ko Shri Mahaveer Chyavan divas hai aur Vivasvat saptami hai
No comments:
Post a Comment
Please do not post any message with links. It will not be approved.