Sunday 18 July 2010, Hindu Calendar, Panchang
Shri Vikrami Samvat 2067, Shak samvat 1932
Ashadh maas
Shukla paksha
Ashtami tithi
Ravi vaar (Sunday)
Chitra nakshatra
Moon in Kanya rashi, enters Tula rashi at 12:44
Bhadra hai 15:40 tak, aur Jain sampradaye ke ashtanhika vrat arambh ho rahe hain
Yeh saptah shuru ho raha hai ravivaar ko is graha stithi se –Ketu hain Mithun rashi mein, Surya aur Budh hain karka rashi mein, Shukra aur Mangal chal rahe hain Simha rashi mein, Shani aur chandrama hain Kanya rashi mein, Rahu hain Dhanu rashi mein, aur Brihaspati chal rahe hain Meena rashi mein
Is saptah mein grahon ka gochar kuch is tarah se hai – Mangal pravesh kareinge Kanya rashi mein 20 July ko, Budh pravesh kareinge Simha rashi mein 23 July ko, aur Brihaspati vakri honge 23 July ko, Chandrama pravesh kareinge Vrishchik rashi mein 20 July ko, Chandra Dhanu rashi mein pravesh kareinge 22 July ko, aur Chandrama pravesh kareinge Makar rashi mein 25 July ko
Is saptah mein padne wale vrat parva aur tyohar hain – 21 July ko Dev shayani ekadashi vrat hai smart vaishnavon ka, atah shri hari shayan otsav hai, 22 July ko dev shayani ekadashi vrat hai nimbarkon ka, vaman jayanti hai, 23 July ko pradosh vrat hai, Jaya tryodashi hai, aur Tilak jayanti hai
No comments:
Post a Comment
Please do not post any message with links. It will not be approved.