Sunday 4 July 2010, Hindu Calendar, Panchang
Shri Vikrami Samvat 2067, Shak samvat 1932
Ashadh maas
Krishna paksha
Saptami tithi upto 7:12, then Ashtami
Ravi vaar (Sunday)
Uttara Bhadrapad nakshatra upto 16:27, then Revati
Moon in Meena rashi
Kaalashtami hai
Yeh saptah shuru ho raha hai ravivaar ko is graha stithi se –Surya Ketu aur Budh hain Mithun rashi mein, Shukra hain karka rashi mein, Mangal chal rahe hain Simha rashi mein, Shani hain Kanya rashi mein, Rahu hain Dhanu rashi mein, aur Brihaspati aur Chandrama chal rahe hain Meena rashi mein
Is saptah mein grahon ka gochar kuch is tarah se hai – Shukra pravesh kareinge Simha rashi mein 5 July ko, Budh pravesh kareinge Karka rashi mein 6 July ko, Chandrama pravesh kareinge Mesha rashi mein 5 July ko, Chandra Vrishabh rashi mein pravesh kareinge 7 July ko, aur Chandrama pravesh kareinge Mithun rashi mein 10 July ko
Is saptah mein padne wale vrat parva aur tyohar hain – 8 July ko Yogini ekadashi hai, 9 July ko Pradosh vrat hai, aur 11 July ko Amavasya punya hai
No comments:
Post a Comment
Please do not post any message with links. It will not be approved.